__The_Muslim_Vibe
10 subscribers
Quran 51:55: "And remind, for indeed, the reminder benefits the believers."❤️

https://instagram.com/__the_muslim_vibe?
Download Telegram
Channel created
Channel name was changed to «__The_Muslim_Vibe»
Channel photo updated
Forwarded from Deeniyaat_
Q16) Kiya qayamat ke din sabse pehle namaz hi ke baare mein poocha jaayega?


➡️Ji haan! qayamat ke din tamam 'amalon mein sab se pehle Namaz hi ka hisaab liya jaayega agar Namaz durust rahi toh baaqi saare kaam durust rahenge aur agar Namaz bekaar gayi to baqiya saare amaal bekaar jaayenge.(Abu dawood:866)
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala woh shakhs hoga jo apne dil ke khuloos ke saath "La ilaha illallah" kahe. (Bukhari: 6570)
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat 'Itban Bin Malik Ansari Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye ke is kalima ke zariye ALLAH Ta'ala hi ki razamandi chahta ho ALLAH Ta'ala uspar dozakh ki aag ko zaroor haraam farma deingey.
(Bukhari: 6423)
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo shakhs ALLAH Ta'ala se is haal mein mile ke uske saath kisi ko shareek na thehrata ho, woh jannat mein daakhil hoga aur jo shakhs ALLAH Ta'ala se is haal mein mile ke woh uske saath kisi ko shareek thehrata ho, woh dozakh mein daakhil hoga.
(Muslim: 270)
Forwarded from Deeniyaat_
Q17) Namaz ki adayegi ke liye awwaleen shart kya hai?

➡️Namaz ki adaayegi ke liye awwaleen shart taharat(paaki)hai,hadas e akbar(badi napaki)aur hadas e asghar(choti napaki)se paaki hasil kiye baghair namaz nahi hoti.Rasoolullah ﷺ ka irshad hai: "Tum mein se koi be wuzoo ho jaaye toh jab tak woh wuzoo nhi karta namaz qubool nhi hoti".(bukhari:135,muslim:537)
Forwarded from Deeniyaat_
Q18)Hadas e akbar Hadas e asghar kise kahte hai?

➡️Jin cheezon se gusul wajib hota hai unhe "Hadas e akbar "kehte hai aur jin cheezon se wuzoo khatam ho jata hai unhe" Hadas e asghar" kehte hai.
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se riwaayat karte hain ke Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: ALLAH Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey aur aasmaan ko apne dahine haath mein lapeteingey, phir farmaayeingey ke main hi baadshah hoon, kahan hain zameen ke baadshah?
(Bukhari: 7382)
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mu'az ! tum jaante ho ke bandon par ALLAH Ta'ala ka kya haq hai ? aur ALLAH Ta'ala par bandon ka kya haq hai ? Maine arz kiya: ALLAH Ta'ala aur uske Rasool ziyaada jaante hain, Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Bandon par ALLAH Ta'ala ka haq ye hai ke uski ibaadat karein aur uske saath kisi ko shareek na kare. Aur ALLAH Ta'ala par bandon ka haq ye hai ke jo banda uske saath kisi ko shareek na kare, use azaab na de.
(Muslim: 144)
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab ALLAH Ta'ala ne makhlooq ko paida kiya to Looh-e-Mehfooz mein ye likh diya "Meri Rehmat Mere Gusse Se Badih Hui Hai". Yeh tehreer unke saamne arsh par maujood hai. (Muslim: 6969)
Forwarded from Deeniyaat_
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayamat badtareen aadmiyon par hi qaayam hogi. (Muslim: 7402)
‘Uthman Ibn ‘Affaan said:

“Worrying about the dunya is a darkness in the heart, while worrying about the akhirah is a light in the heart.”

📌@__the_muslim_vibe