🔎 #Sacred_Traditions
صوفیا فرماتے ہیں نیک بختی کی نشانی یہ ہے کہ بندے پر زندگی میں خوف خدا غالب ہو اور مرتے وقت امید۔ نیکو کار نیکیاں قبول ہونے کی امید رکھیں اور بدکار معافی کی۔ امید کی حقیقت یہ ہے کہ انسان نیکیاں کرے اور اس کے فضل کا امیدوار رہے، بدکاری کے ساتھ امید رکھنا دھوکا ہے امید نہیں۔ اس حدیث کی بنا پر بعض بزرگوں نے کہا کہ خوف کی عبادت سے امید کی عبادت بہتر ہے۔
https://www.facebook.com/114021443682673/posts/436501641434650/
Sufiyaa Farmaate Haiñ Nek-Bakhti Ki Nishaani Yeh Hai Ki Bande Par Zindagi Meiñ Khauf-e-Khuda Ghaalib Ho aur Marte Waqt Ummeed. Neko-kaar Nekiyaañ Qabool Hone Ki Ummeed Rakheiñ aur Bad-kaar Mu’aafi Ki. Ummeed Ki Haqeeqat Yeh Hai Ki Insaan Nekiyaañ Kare aur Us Ke Fazl Ka Ummeedwaar Rahe. Bad-kaari Ke Saath Ummeed Rakhna Dhoka Hai, Ummeed Nahiñ. Is Hadees Ki Bina Par Ba’az Buzurgoñ Ne Kaha Ki Khauf Ki Ibaadat Se Ummeed Ki Ibaadat Behtar Hai.

This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
🔎 #Sacred_Traditions
تقویٰ کا ادنی درجہ کفر و بدعقیدگی سے بچنا ہے، درمیانی درجہ گناہوں سے بچنا اور اعلیٰ درجہ غافل کرنے والی چیزوں سے بچنا ہے۔ یوں ہی خوش خلقی کا ادنی درجہ یہ ہے کہ کسی کو جانی و مالی نقصان نہ پہنچائے اور کسی کی بے عزتی نہ کرے اور اعلیٰ درجہ یہ ہے کہ برائی کا بدلہ بھلائی سے کرے، یہ بہت اعلیٰ صفت ہے۔ الله کریم نصیب فرمائے!
https://www.facebook.com/114021443682673/posts/439164317835049/
Taqwa Ka Adna Darja Kufr wa Bad-Aqeedgi Se Bachna Hai, Darmiyaani Darja Gunaahoñ Se Bachna aur A’la Darja Ghaafil Karne Waali Cheezoñ Se Bachna Hai. Yuñ Hi Khush-khulqi Ka Adna Darja Yeh Hai Ki Kisi Ko Jaani wa Maali Nuqsaan Na Pahuñchaaye aur Kisi Ki Be-Iizzati Na Kare aur A’la Darja Yeh Hai Ki Buraayi Ka Badla Bhalaayi Se Kare, Yeh Bahut A’la Sifat Hai. Allah Kareem Naseeb Farmaey!