TopperBench by SSC Factory
7.17K subscribers
64 photos
8 videos
41 files
130 links
TopperBench By. SSC Factory
Daily updates • Job alerts • Exam dates
Notes • PDFs • PYQs • Strategy
Mentorship & Batch notifications
For serious SSC aspirants only.
Join and stay 100% updated.”
Download Telegram
SSC CGL & CHSL 2027 Aspirants 🔥

TopperBench par bahut jald  SSC CGL & CHSL 2027 Mentorship Batch shuru hone wala hai.

Is batch ki sabse khaas baat ye hai ki kai selected Toppers bhi aapke saath rahenge, jo apni strategy, mistakes aur selection journey share karenge aur time-to-time aapko guide bhi karenge.

Aur haan, Free Mentorship bhi continue rahegi. Agar aap paid batch join nahi karna chahte, tab bhi aap 120 Days Target  ko follow karke apna syllabus systematically complete kar sakte hain.

Agar abhi tak TopperBench App download nahi kiya hai, to aaj hi kar lijiye aur apni preparation ko sahi direction dijiye.

Selection luck se nahi, sahi guidance aur consistency se hota hai. 🚀
❤11🔥3
सच-सच बताना…

क्या तुम्हें भी कभी-कभी लगता है कि तुमने पिछले 2–3 सालों में अपनी पढ़ाई से ज्यादा खुद को समझाने में समय लगा दिया?

कभी कहा—
अगले Monday से शुरू करूंगा।

फिर Monday आया…
लेकिन पढ़ाई शुरू नहीं हुई।

कभी नई किताब ले आए,
कभी नए teacher को follow किया,
कभी नया timetable बनाया,
कभी नई strategy बनाई…

लेकिन एक चीज़ बार-बार अधूरी रह गई—
तुम्हारी तैयारी।

एक बार बिना किसी बहाने के खुद से पूछना…

क्या तुमने पिछले 2–3 सालों में कभी लगातार 100 दिन,
बिना भटके,
बिना strategy बदले,
बिना किसी के पीछे भागे,
सिर्फ अपने target के पीछे ईमानदारी से मेहनत की है?

शायद जवाब नहीं होगा।

और यार…
इसमें शर्म की कोई बात नहीं है।

गलती हुई है तो हुई है।

लेकिन एक बात समझ लो…

जो समय चला गया, वो वापस नहीं आएगा।
लेकिन जो समय बचा है, वो तुम्हारी पूरी कहानी बदल सकता है।

2027 में भी अगर वही पुरानी गलती दोहराई…

आज थोड़ा पढ़ना,
कल छोड़ देना,
एक दिन motivation,
तीन दिन break,
फिर नई strategy…

तो शायद अगले साल भी तुम वहीं खड़े मिलोगे जहां आज खड़े हो।

इसलिए इस बार मैं तुम्हें कोई shortcut नहीं दे रहा।

कोई ऐसा झूठ नहीं बोलूंगा कि बस ये batch कर लो और selection पक्का है।

Selection की guarantee कोई नहीं दे सकता।

लेकिन एक चीज़ मैं जरूर कह सकता हूँ—

अगर आप पूरे 180 दिन ईमानदारी से मेरे साथ चलते हैं,
Daily Target पूरा करते हैं,
Tests देते हैं,
अपनी गलतियों पर काम करते हैं
और बीच में भागते नहीं हैं…
तो आप खुद के पुराने version से बहुत आगे निकल चुके होंगे।

इसी सोच के साथ हम शुरू कर रहे हैं—

SSC CGL 2027 Mentorship Batch

1 September से।

लेकिन मेरी एक request है…

सिर्फ इसलिए मत जुड़ना क्योंकि बहुत सारे लोग जुड़ रहे हैं।

सिर्फ इसलिए मत जुड़ना क्योंकि मैं बोल रहा हूं।

और सिर्फ motivation लेने के लिए तो बिल्कुल मत जुड़ना।

तभी जुड़ना जब आप खुद से एक वादा करने के लिए तैयार हों
अबकी बार शुरुआत नहीं… अंत तक जाना है।

मैं आपका teacher बनकर सिर्फ पढ़ाने नहीं आ रहा।

मैं चाहता हूं कि इस बार आपकी preparation में कोई ऐसा इंसान हो जो आपको बार-बार याद दिलाता रहे

क्यों शुरू किया था,
कहां पहुंचना है,
और कब रुकना नहीं है।

अगर 2027 में Selection चाहिए…

तो इस बार सिर्फ सपना मत देखिए।

उस सपने के लिए रोज़ काम कीजिए।

1 September से एक नई शुरुआत करते हैं।

SSC CGL 2027 — इस बार तैयारी अधूरी नहीं छोड़ेंगे।
अगर आप सच में तैयार हैं,
तो Mentorship Batch से जुड़िए।
भीड़ नहीं चाहिए।
मुझे सिर्फ serious aspirants चाहिए।
❤6🔥2
Pyare Sathiyo ❤️
Ek baat Daily Target ko lekar clear karna chahta hu.
Main jo Daily Target deta hu wo lagbhag 8-9 ghante ki padhai ko dhyan me rakhkar banaya jata hai. Abhi jo students naye hain ya jinki 4-5 ghante padhne ki bhi habit nahi bani hai, unke liye shuru me ye Target dekhkar thoda difficult lag sakta hai.
Agar aap Target dekhkar dar jaate ho aur pura complete nahi ho pata, to iska matlab ye bilkul nahi hai ki aap padhai chhod do ya next Target ka wait karne lago.
Aisa bilkul mat karna.
Jo Target diya hai usko aap apni capacity ke hisab se chhote parts me divide kar sakte ho. Maan lo ek Target aapko 8-9 ghante ka lag raha hai to aap usko 1.5 ya 2 din me complete kar lo. Koi problem nahi hai.
Lekin ek request hai... Target ko chhodna mat, usko complete zarur karna.
Shuruat me agar aapko 2 din lag rahe hain to 2 din lagao. Dheere-dheere jab daily padhne ki habit banegi aur sitting capacity badhegi to wahi Target aap 1 din me complete karne lagoge.
Hume abhi kisi se race nahi karni hai. Hume bas apni capacity ko gradually improve karna hai.
Isliye agar kabhi Target zyada lage to pressure mat lena. Usko tod do, chhote parts me karo aur complete karo.
Padhai mat chhodna, Target ko adjust kar lena.
Aaj 4 ghante ho rahe hain to 4 ghante padho, kal 5 karo, fir 6... dheere-dheere 8-9 ghante bhi normal lagne lagenge.
Consistency banaye rakho, capacity apne aap badhti jayegi. ❤️
— Ankit Sharma
Founder | SSC Factory & TopperBench
📲 Free Mentorship WhatsApp: 9315646506
❤4👏1💯1
Pyare Sathiyo ❤️
Pichhle kuch dino me kai Aspirants se Phone par baat hui. Mostly Students ki ek hi line thi...
"Sir main padhta to hu, lekin improvement nahi ho rahi."
Ek cheez mujhe bahut common dekhne ko mili. Preparation start karte hi har kisi ko jaldi se jaldi Syllabus complete karna hota hai. Is chakkar me Students Videos ko bas khatam karne lagte hain.
Video chalayi, 1.5x ya 2x par dekhi, Lecture complete kiya aur next Lecture laga diya.
Lekin proper Notes nahi banaye.
Shuru me lagta hai ki Notes banane me bahut time ja raha hai. Notes banana boring bhi lagta hai aur kabhi-kabhi Notes itne bulky ho jaate hain ki lagta hai isse achha Video hi dekh lete.
Lekin yahi jagah hai jahan bahut saare Students galti kar dete hain.
Aapko Syllabus jaldi khatam karne ki jald baaji nahi karni hai. Lecture thoda late complete ho jaye koi problem nahi hai, lekin jo padh rahe ho uske proper Notes zarur banao.
Kyuki agar aapne Notes nahi banaye to Revision ke time fir wahi Videos kholni padengi. Fir ek hi Topic ko dobara dekhna, fir Notes banana, fir Revision... aur ye ek dangerous cycle ban jaati hai.
Starting me Notes banane me time lagega, lekin baad me wahi Notes aapka sabse bada Revision Material banenge.
Aur jab Syllabus complete ho jayega to inhi Detailed Notes me se aap Short Notes bana sakte ho, jisse Exam se pehle bahut jaldi Revision ho jayega.
Isliye meri ek simple si advice hai...
Lecture complete karne ki jaldi mat karo. Lecture ko samjho, proper Notes banao aur fir aage badho.
2 din late Syllabus complete hoga to kuch nahi hoga, lekin agar bina samjhe aur bina Notes ke Syllabus complete kar diya to baad me bahut time waste hoga.
Syllabus complete karna goal nahi hai... Syllabus ko aise complete karna hai ki baad me usko revise bhi kar sako.
Ankit Sharma
Founder | SSC Factory & TopperBench
📲 Free Mentorship WhatsApp: 9315646506
❤4🔥1🥰1
जिन बच्चों ने SSC CGL 2027 Paid Mentorship में enrol कर लिया है और अभी batch start होने का wait कर रहे हैं, उनके लिए एक छोटा सा काम है।

Batch start होने में अभी 10 दिन हैं , तो इन 10 दिनों को भी preparation में use करिए।

Calculation के लिए अभी से ये 5 चीजें याद कर लीजिए:

1. Tables — 1 से 25 तक
बिना देखे और बिना रुके recall होने चाहिए।

2. Squares — 1 से 50 तक
1² से 50² तक।

3. Cubes — 1 से 20 तक
1³ से 20³ तक।

4. Fractions → Percentage
1/2 से 1/20 तक के important fractions की percentage values याद करिए।
जैसे 1/2 = 50%, 1/3 = 33⅓%, 1/4 = 25%, 1/5 = 20%.

5. Important Percentage Values
12.5%, 16⅔%, 20%, 25%, 33⅓%, 50%, 66⅔%, 75% आदि को fractions से relate करना सीखिए।

Batch शुरू होने तक बस इतना कर लीजिए।

फिर जब classes शुरू होंगी, तो calculation की इन basic चीजों पर आपका समय नहीं जाएगा और आप questions पर ज्यादा focus कर पाएंगे।

इन 10 दिनों को भी preparation का हिस्सा बनाइए।
🔥2❤1👏1
SSC CGL Descriptive ya Subjective Paper को लेकर बहुत से Aspirants Confused हैं

दोस्तों, अभी SSC CGL में Descriptive ya Subjective Paper वापस आने की कोई Official Confirmation नहीं है।

सोशल मीडिया पर चल रही किसी भी News, Video ya Post को देखकर अपना Preparation Pattern मत बदलना।

जब तक SSC की तरफ से Official Notification नहीं आती, तब तक CGL की तैयारी मौजूदा Exam Pattern के हिसाब से ही करें।

जैसे ही SSC की तरफ से Descriptive ya Subjective पेपर को लेकर कोई Official Update आती है, मैं आपको तुरंत बताऊँगा।

अभी Panic बिलकुल नहीं होना है ,अपनी Preparation जारी रखें।
❤4👍3🔥1
Pyare Sathiyo ❤️
Sabhi log ek simple sa Stopwatch khareed lo. 30-50 rupaye ka aa jayega aur ise apni Study Table par rakh do.
Jab actual padhai start karo tab Stopwatch start karo.
Aap Study Table par baithe ho lekin Phone chala rahe ho, kisi se baat kar rahe ho, khana kha rahe ho ya kisi aur kaam ke liye uth gaye ho to turant Stopwatch rok do.
Wapas padhne baitho to fir start kar do.
Aise poore din karna.
Sham ko jab Stopwatch ka total time dekhoge na to shayad aapko khud shock lagega.
Aapko lagta tha "Aaj 8 ghante padhai ho gayi", lekin actual focused study 3-4 ghante hi niklegi.
Aur yahi reality samajhna bahut zaruri hai.
Study Table par 8 ghante baithna aur 8 ghante padhna dono alag cheezein hain.
Aap 7 din ye experiment karke dekho. Stopwatch aapko aapki preparation ki real picture dikha dega.
Fir dheere-dheere apne effective study hours ko 4 se 5, 5 se 6 aur 6 se 7 ghante tak le jao.
Ghante ginne se zyada zaruri hai ki un ghanton me actual padhai kitni hui.

Ankit Sharma
🔥5❤4👏1
Pyare Sathiyo ❤️
Ek baat preparation ke starting me hi samajh lena.
Har din aapka perfect nahi jayega.
Kabhi 8 ghante ka Target complete hoga.
Kabhi sirf 5 ghante padh paoge.
Kabhi Mock bahut achha jayega.
Kabhi Marks dekhkar lagega ki itni mehnat ke baad bhi improvement nahi ho rahi.
Lekin ek kharab din ke chakker me pura week kharab mat kar lena.
Aaj padhai kam hui?
Theek hai.
Kal dobara start karo.
Mock kharab hua?
Theek hai.
Mistakes dekho aur dobara prepare karo.
Target miss hua? Koi baat nhi
Usko complete karo aur aage badho.
Sabse dangerous cheez ek kharab din nahi hai.
Sabse dangerous hai kharab din ke baad preparation ko kai din ke liye chhod dena.
Aapka har din perfect nahi hoga . kisi ka bhi nahi hota
Bas itna karna hai ki kal preparation wahi na ho jahan aaj thi.
Slow progress bhi progress hai, bas rukna nahi hai.

 Ankit Sharma
Founder | SSC Factory
📲 Free Mentorship 9315646506 (WhatsApp)
💯5❤2🙏1
Guys, group mein kaafi doubts pending hain. Don’t worry, main ek-ek karke sabhi ko personally call karunga aur aapke doubts clear karunga.
Abhi aap bas apna daily target complete karo, notes banao aur preparation continue rakho.Baaki doubts ki tension mat lo, sabka solution milega.
👏3🔥1
Jin students ko SSC CGL 2027 Paid Mentorship Batch join karna hai, wo jaldi enrol kar lein.
200 mein se 167 seats already filled hain, sirf 33 seats left hain. Uske baad enrolment close kar diya jayega.
🤣3❤2
जिन aspirants की Calculation की basics अभी clear नहीं हैं, वो इस वीडियो को जरूर देख लेना।
Calculation को मजबूत करने के लिए basic concepts और छोटी-छोटी बारीकियों को समझना बहुत जरूरी है।
वीडियो ध्यान से देखो और साथ-साथ practice भी करते चलो। 💯📚

https://www.youtube.com/live/X98-TJRMZRk?si=6kgQE7nvHdPqjQac
🔥3❤1
Happy Raksha Bandhan ❤️

Aaj ki Rakhi ek nayi umeed ke saath…
agli Raksha Bandhan tak mehnat ka result milna chahiye.

Dua hai agli Rakhi
selection ki khushi ke saath aaye. ❤️
❤‍🔥3👏1💯1
Pyare Sathiyo ❤️
Ek problem bahut common hai jo preparation ko dheere-dheere weak kar deti hai...
Hum padhte bahut hain, lekin test nahi karte ki hume aata kitna hai.
Maan lo aapne aaj Percentage ke 3 lectures complete kar liye. Notes bhi bana liye aur laga ki topic samajh aa gaya.
Lekin jab 20-30 Questions lagaye aur 8-10 galat ho gaye to wahi par reality pata chalegi.
Isliye sirf lecture complete hone par khush mat hona. Har topic ke baad Questions zarur lagao.
Aur jo Questions galat ho rahe hain unhe ignore mat karo. Unhi mistakes ko dobara dekhna hai.
Aapki preparation tab improve hogi jab galtiyan kam hongi, sirf lectures complete hone se nahi.
Aaj jo bhi padh rahe ho, uske baad khud ko test zarur karna.
Padhna zaruri hai, lekin jo padha hai wo Questions me laga pa rahe ho ya nahi... ye check karna usse bhi zaruri hai.
❤8🥰1👏1💯1
Finally SSC CGL 2026 Tier 1 dates announced Officially..

30th September to 30th October 2026
❤4🔥1
मेरी एक बात हमेशा याद रखना। यदि तुम अपने माता-पिता के संघर्ष को देखकर भी प्रेरित नहीं होते तो तुम्हें दुनिया का कोई भी मोटिवेशनल स्पीकर प्रेरित नहीं कर सकता।

जो अपने माता-पिता के ललाट पर आए पसीने की बूंदों को अपनी आंखों में संजोए रखता है, उस बच्चे को सफल होने से कोई नहीं रोक सकता।

कभी समय निकाल कर अपने पिता के चेहरे को ध्यान से देखना, तब तुम समझोगे कि उनके चेहरे पर ये झुर्रियाँ केवल बढ़ती उम्र के कारण ही नहीं हैं बल्कि जबरदस्त संघर्ष, परेशानियों और तुम्हारे लिए की गई अनगिनत चिंताओं की कहानी कहती हैं।

अब व्यर्थ की चिंता छोड़ो।

अब तक जो हुआ उसको भूलकर सच्चे मन से पूरी ऊर्जा के साथ प्रयास करो।

Ankit Sharma
❤12👍3🔥1
प्यारे साथियो
आज एक जरूरी बात आपसे करना चाहता हूं

आप रोज 6-7 घंटे पढ़ रहे हो। Lectures देख रहे हो। Notes बना रहे हो। Daily Target भी पूरा कर रहे हो। लेकिन जब Questions लगाने बैठते हो तो Questions नहीं बन रहे।

अगर ऐसा हो रहा है तो एक बार अपनी पढ़ाई के तरीके को जरूर देखो।

मैंने बहुत सारे Students में एक चीज देखी है। Lecture देखते समय लगता है कि Topic समझ आ गया। Teacher ने Question कराया और Solution समझ आ गया तो लगता है कि ये Question हम भी कर लेंगे।

लेकिन जब वही Question बिना Solution देखे खुद से करना होता है तब Problem आती है।

यहीं पर असली फर्क है।

Lecture देखना सीखने का एक हिस्सा है। लेकिन बिना Solution देखे Question खुद से करना आपकी असली तैयारी को दिखाता है।

इसलिए अब से एक आदत बना लो।

Teacher ने जो Questions Class में कराए हैं उन्हें दोबारा खुद से जरूर करो।

पहले Solution मत देखो।

Question पढ़ो और खुद से सोचो। Approach लगाओ और Solve करने की कोशिश करो।

Question बन गया तो बहुत अच्छी बात है।

नहीं बना तो कोई Problem नहीं है। अब Solution देखो और समझो कि दिक्कत कहां हुई।

Concept नहीं आया था
Formula या Rule याद नहीं था
Calculation में गलती हुई
या Question की Approach समझ नहीं आई

जो भी वजह है उसे समझो और फिर वही Question दोबारा खुद से करो।

इसके बाद Topic के PYQ भी जरूर लगाओ। इससे आपको पता चलेगा कि आपने जो पढ़ा है उसका इस्तेमाल परीक्षा में किस तरह होता है।

एक और चीज बहुत जरूरी है।

आज कोई Topic पूरा किया और उसके बाद उसे दोबारा देखा ही नहीं तो कुछ दिनों बाद बहुत कुछ भूल जाएगा।

इसलिए Topic पूरा करने के बाद Notes Revision करो। Class के Questions खुद से करो। PYQ लगाओ। अपनी गलतियां देखो और कुछ दिनों बाद उन Questions को दोबारा Try करो।

शुरुआत में बहुत सारे Questions नहीं बनेंगे। गलतियां भी होंगी। इसमें परेशान होने की जरूरत नहीं है।

तैयारी का मतलब ये नहीं है कि हर Question पहली बार में बन जाए।

तैयारी का मतलब ये है कि जो Question आज नहीं बना वो कुछ समय बाद आपको खुद से बनना शुरू हो जाए।

इसलिए सिर्फ ये मत देखो कि आज कितने Lectures पूरे हुए।

कभी ये भी देखो कि आज बिना Solution देखे मैंने कितने Questions खुद से Solve किए।

यहीं से आपको अपनी तैयारी की असली Progress दिखाई देगी।

— Ankit Sharma
Founder | SSC Factory & TopperBench
💯5