Islamic Quiz
605 subscribers
1 photo
247 links
Iss Channel Me Apko Daily Islamic Quiz Milegy In Shaa'Allah.
Download Telegram
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
Quiz Only Quran Hadith


*👉Sawal: Allah Subhanahu Qayamat ke din Innmai se kis Ka chehra dozakh se Mehfuz rakhega?*

A: Jiski Zuban se dusra Muslman Mehfuz rahe
B: Muslman ko kafan dene wale
C: Jisne Kisi Muslman ke aibon ko chupaya
D: Hijab Karne wali aurat
E: Sulah Karne wale
F: Innmai se koi Nahi
*G: SAHIH JAWAB KA INTEZAR*

💐💐💐 *Ans ➤ 5:30 PM* 💐💐
💐💐💐 *In Shaa' Allah* 💐💐💐
*📜🎗 REFERENCE🎗📜*
------------------------------------------------
*🎖📚SAHIH JAWAB: F 📚🎖*
---------------------------------------------------
*Bismillahirahmanirrahim*

*Hadith: Muslman ki Izzat ki hifazat ( Uske gair mojudgi main) Karne wale ke chehre ko dozakh se Mehfuz Kar liya jaega*
----------------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo Shaks apne Bhai ki Izzat ( Uske gair mojudgi main) bachaye Allah Subhanahu Qayamat ke din Uske Chehre ko Dozakh se bachaega
Jamia Tirmaizi Jild 2 , 1931
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص اپنے بھائی کی عزت ( اس کی غیر موجودگی میں ) بچائے اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کے چہرے کو جہنم سے بچائے گا
جامع ترمذی جلد ۲ ۱۹۳۱
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Whoever protects his brother's honor, Allah protects his face from the Fire on the Day of Resurrection.
Jamia Tirmaizi Volume 2 , 1931
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
*Islamic Quiz*

* Only-Quran-Hadith Quiz *

*Jawab ek se zyada hai*

*🌀👉Sawal : Musalmano ki geebat karne wale ke liye kya kya saza hain ?*

A. Wo Jannat mein nahi jayega
B. Allah Subhanahu uske aib ke peeche lag jayega
C. Usko Qabr ka azab hoga
D. Uski sari nekiya khatam kar di jayengi
E. Hauz e kauser se dur kar diya jayega
F. Uska sir paththar se kuchla jayega
G. Allah Usko uske ghar mein ruswa kar dega
H. Sahi jawab ka intezar hai

💐💐💐 *Ans ➤ 9:00 PM* 💐💐
💐💐💐 *In Shaa' Allah* 💐💐💐
*Sahi Jawab : ABCG* 💐
-----------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor ( Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 290

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Eh logo Jo Imaan laye ho apni Zuban se aur haal ye hai ke Imaan Uske Dil main dakhil nahi hua Muslmano ki Gheebat na Karo, unke aibon ke peeche na pado, isliye ke Jo unke aib ke peeche padega Allah Subhanahu Uske aib ke peeche padega aur Allah Subhanahu Jiske aib ke peeche padega usay Uske Ghar main zalil aur ruswa Kar dega
Sunan Abu Dawud , Jild 3, 1450

Hazrat Ibn Abbas Radhi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam madina munawwara ke ek baag se tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do insano ki aawaz suni jinhe unki Qabro mein azab diya ja raha tha phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya inhe azab ho raha hai wo bhi kisi bade gunah ki wajah se nahi bulki inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha , phir App Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne khajur ki ek hari shaakh mangwayee aur usko do hisso mein tod diya aur ek tukda ek ki Qabr par aur dusra dusre ki Qabr par gaad diya, phir farmaya ki shayad inke azab mein us waqt tak kami kar di jaye jab tak ki ye sukh na jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6055
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
*Islamic Quiz*

* Only-Quran-Hadith Quiz *


*🌀👉Sawal: Deen main kounsa Aamal hai Jo akhir main kho diya jaega*

A: Laa illaha illallaha
B: Quran Majid
C: Haya
D: Aamanat
E: Sila Rehami
F: Salah
G: Sabr
H: Innmai se koi Nahi
*I:SAHIH JAWAB KA INTEZAR*

💐💐💐 *Ans ➤ 5:30 PM* 💐💐
💐💐💐 *In Shaa' Allah* 💐💐💐
*📜🎗 REFERENCE🎗📜*
--------------------------------------------------
*🎖📚SAHIH JAWAB: F 📚🎖*
---------------------------------------------------
*Bismillahirahmanirrahim*

*Hadith: Deen main pahli cheez Amanat aur akhir main Namaz kho di jaegi*
-----------
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum apne Deen main Sabse pehli Cheez Jo kho doge wo amanat hogi aur akhir Cheez Namaz hogi
Al-Silsila-tus-Sahiha 595
-----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا : تم اپنے دین میں سب سے پہلی چیز جو گم پاؤ گے وہ امانت ہو گی اور آخری چیز نماز ہوگی۔
السلسلہ صحیحہ ۵۹۵
----
Anas Radi Allahu Anhu narrated that , The Messenger of Allah may Allah bless (Peace and blessings of Allaah be upon him) said: "The first thing you lose is your trust, and the last one is the prayer."
Al-Silsila-tus-Sahiha 595
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
*Islamic Quiz*

* Only-Quran-Hadith Quiz *

*👉Sawaal: Hadith ke mutabiq Inme SE konse aamaal aise hai Jo ke aasaan hai AUR in per amal kerne wale log thode hai?*

A. Har namaz ke BAAD das Baar tasbeeh kerna
B. Har namaz ke BAAD das Baar Tahmeed kerna
C. Har namaz ke BAAD das Baar La ilaha illAllu wahdahu la shareek lahu lahul Mulki wa lahul hamdu wa hua alaa kulli Shai in qadeer padhna
D. Har namaz ke BAAD das Baar takbeer karna
E. Har namaz ke BAAD ek Baar Allahumma A'ini 'alaa zikrika wa shukrika wa husni 'ibadatika padhna
F. Sone ke waqt wodhu kerna
G. Sone ke waqt 33 Baar SubhanAllah kehna
H. Sone ke waqt 33 Baar Alhamdulillah kehna
I. Sone ke waqt 33 Baar Allahu Akber kehna
J. Sone ke waqt AyatAl kursi padhna
K. Upper ke sabhi Sahi
L. Sahi Jawab Ka Intezar

💐💐💐 *Ans ➤ 9:00 PM* 💐💐
💐💐💐 *In Shaa' Allah* 💐💐💐
*💡 Sahi Jawab: ABDGH 💡*
------------------------------------------------------
*Do aadatein aisee hain ki agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega*
——————————
✦ Abdullah bin Amr Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya do khaslatein ya aadatein aisee hain ki
agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega wo dono aasan hain magar us par amal karne wale bahut kam hain, *pahli ye ki har namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe* , ravi kahte hain ki maine Rasool-
Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo zuban par 150 (Yani 5 waqt ki namaz
ke baad 5×10=150) aur meezan par 1500 hain

✦ *Dusri aadat ye bayan farmayee ki jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu Akbar kaho*. ye zuban poar to 100 hain magar meezan par 1000 hain.Aap Sal-Alalahu alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se kaun hain jo
din raat mein 2500 buraeeya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai)

✦ Sahaba Radi allahu anhu ne farmaya hum kaise iska khayal nahi rakhenge , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum namaz
mein hote ho to shaitan tumhare pass aata hai aur kahta hai ki falah cheez yaad karo,falah cheez yaad karo, yahan tak ki wo (banda)
namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta , aur isse tarah jab koi sone ke liye bistar par jata hai to shaitan waha bhi aa jata
hai aur usko sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai
Jamia Tirmizi,Jild 2,1335-Hasan
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
*Islamic Quiz*

* Only-Quran-Hadith Quiz *

*🌀👉Sawal: Nabi sallalahu alaihi wasallam se ek aadmi ne arz kiya ke mai safar par nikalne ka irada kar raha ho to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne dua padhi wo dua kaunsi hai?*

A.
*السَّـــــــلاَمُ عَلَيــْــكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكـَـاتُه*
B.
*اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ*
C.
*أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ*
D.
*سُبحـان اَللّه والحَمدُ لِلّه و لَا إِلَهَ إِلا اَللّه واللّهُ أَكبَر ولاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه*
E
*قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَلَ*
F.
*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

G. Nabi sallalahu alaihi wasallam ne koye dua nahi padhi
H. In mai se koye nahi
I. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi jawab hai

*🌷B🌷*
--------------

Ek aadmi ne arz kiya : Allah ke Rasool! Mai safar par nikalne ka irada kar raha ho to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye, Aap ne farmaya : "mai tujhe Allah ka taqwa ikhtiyar karne ki wasiyat karta ho aur nasihat karta ho ke jaha kahi bhi onchaye o bulandi par chadho Allah ki takbir padho, (Allahu AKbar kahte raho)phir jab aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne farmaya
*" اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ"*
*"Aye Allah! Iss ke liye musafat ki dori ko lapet kar muqtesir kar de aur iss ke liye safar ko aasan bana de."*
------------------
حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْكِنْدِيُّ الْكُوفِيُّ، حَدَّثَنَا زَيْدُ بْنُ حُبَابٍ، أَخْبَرَنِي أُسَامَةُ بْنُ زَيْدٍ، عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، رضى الله عنه أَنَّ رَجُلاً، قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنِّي أُرِيدُ أَنْ أُسَافِرَ فَأَوْصِنِي ‏.‏ قَالَ ‏"‏ عَلَيْكَ بِتَقْوَى اللَّهِ وَالتَّكْبِيرِ عَلَى كُلِّ شَرَفٍ ‏"‏ ‏.‏ فَلَمَّا أَنْ وَلَّى الرَّجُلُ قَالَ ‏"‏ اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.‏

Grade : Hasan (Darussalam)
Reference : Jami` at-Tirmidhi 3445
In-book reference : Book 48, Hadith 76
English translation : Vol. 6, Book 45, Hadith 3445
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
*Islamic Quiz*

* Only-Quran-Hadith Quiz *

*🌀👉Sawal : Jo kisi Mayyat ko gusal de usko uske baad kya karna chahiye*

A. Usko La ilaha illAllah padhna chahiye
B. Usko Naha lena chahiye
C. Usko Wuzu kar lena chahiye
D. Usko Tawba Astigfar padhna chahiye
E. Usko Mayyat ki taraf se kuch sadqa karna chahiye
F. Usee ko Mayyat ko Qabr mein dafan karna chahiye
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

💐💐💐 *Ans ➤ 5:30 PM* 💐💐
💐💐💐 *In Shaa' Allah* 💐💐💐
*Sahih Jawab B* 💐
-------
*قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم مَنْ غَسَّلَ الْمَيِّتَ فَلْيَغْتَسِلْ وَمَنْ حَمَلَهُ فَلْيَتَوَضَّأْ*
-------
🔹Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo kisi mayyat ko nahlaye usko uske baad khud bhi naha lena chahiye aur jo kisi janaze ko uthaye usko uske baad Wazu Kar lena chahiye
Sunan abi Dawud, Jild 2 ,1384 -Sahih
This media is not supported in your browser
VIEW IN TELEGRAM
*Islamic Quiz*

* Only-Quran-Hadith Quiz *

Do Sawal Hai

*👉Sawal 1: Kaun ka shaqs rahmat mein dooba rehta aur rahmat mein gota lagata hai?*

A: Subha aur Sham ke azkar padne wale
B: Subah aur Sham 100 baar Astagfar padne wale.
C: Mareez ki ayadat karne wale
D: Janaze mein shareek hone wale
E: kisi musibat mein mubtala shaqs ki madad karne wale
F: Bure rishtedaro ke saath husn sulook karne wale
G: Budhe maa baap ki khidmat karne wale
H: In mein se koi nahi

*I: Sahi Jawab ka intezaar*

*👉Sawal 2: Mafhum Mukamal Karen Jisko ye baat Pasand ho Qayamat ke din Allah Subhanahu usay taklif se rahat de WO Innmai se kounsa Amal Karen*

A: Khamosh rahe
B: Gusa na Karen
C: Qarz waqt par adaa Karen
D: Bukhl na Karen
E: Qarz maaf Karen
F: Wada khilafi na Karen
G: Innmai se koi Nahi
*H:SAHIH JAWAB KA INTEZAR*