REAL - MALIKA
486 subscribers
2.98K photos
1.4K videos
8 files
729 links
Jai shree madhav - Har Har Mahadev
Real - Malika: Astrology + global news channel.
Managed by: @NotRealMalika & Admins
Dear Pavel Durov,
This channel is only for educational purposes and it doesn't promote any kind of illegal activities or something.
Download Telegram
After Ramcharitmanas we'll start Real bhavishya Malika
8🔥1
REAL - MALIKA pinned «Granth: Shri Ramcharitmanas (by Tulsidas) Total Kand: 7 1. Balakand 2. Ayodhyakand 3. Aranyakand 4. Kiskindhakand 5. Sundarakand 6. Laakakand 7. Uttarakand»
REAL - MALIKA
Balakand - 1 Mangalacharan Tulsi Das ji shuruat me sab devataon ko pranam karte hain: Guru, Ganesha ji, Saraswati Mata, Shiv-Parvati, aur ant me Shree Ram. Phir wo likhte hain ki: Main Guru ke charanon ki dhool se apne mann ko pavitra kar raha hoon, taaki…
Is bhag me Hanuman ji ki stuti bhi aati hai:

"Budhi heen tanu janike, sumirau Pavan Kumar…”


Hanuman ji se prarthana karte hain taaki unhe buddhi aur shakti mile Ramcharit likhne ke liye.
7🥰2
REAL - MALIKA
Is bhag me Hanuman ji ki stuti bhi aati hai: "Budhi heen tanu janike, sumirau Pavan Kumar…” Hanuman ji se prarthana karte hain taaki unhe buddhi aur shakti mile Ramcharit likhne ke liye.
Balakand - 1

Ramcharitmanas likhne ka kaaran (Tulsi Das ji ka bhav)

Tulsi Das ji kehte hain:
Main dekh raha hoon ki Kal Yug me logon ke mann me bhakti kam ho gayi hai,
isliye main Shree Ram ke charit ko saral bhasha (Awadhi) me likh raha hoon,
taaki sab log ise samajh sakein aur shraddha se padhein.
4🥰1
Balakand - 1

Shiv-Parvati Samvaad

Yahaan Bhagwan Shiv ji, Parvati ji ko Shree Ram avatar ki kahani sunate hain.
Parvati ji poochhti hain:

Hey Mahadev! Aap hi mujhe batayein, Ram kaun hain? Unka avtar kyon hua?”
3🥰2
REAL - MALIKA
Tab Shiv ji kehte hain: Ram hi Parmatma hain unhone dharti par dharma sthapit karne ke liye avatar liya.
Is bhag me Ram naam ki mahima bhi likhi gayi hai:

“Ram naam manihar, tanu tajahi jo sumirai bar-bar.”


Yani Ram naam ka jap karne se paapi bhi pavitra ho jaata hai.
🥰31
REAL - MALIKA
Is bhag me Ram naam ki mahima bhi likhi gayi hai: “Ram naam manihar, tanu tajahi jo sumirai bar-bar.” Yani Ram naam ka jap karne se paapi bhi pavitra ho jaata hai.
Balakand - 1

Vishnu Avatar ka Niyojan (Devtaon ki prarthana)

Devtaon ne Brahma aur Vishnu se prarthana ki:
Hey Prabhu! Dharti par Ravan jaise dushton ka atyachar badh gaya hai,
unka vadh kijiye.


Tab Bhagwan Vishnu ne vachan diya:
Main Dasharath ke ghar janm loonga aur Ravan ka vadh karunga.
5🥰1
Balakand - 1

Dasharath ji ke Yajna aur Ram Janma

Ayodhya ke Raja Dasharath ji ke koi santan nahi thi,
to unhone Putrakameshti Yajna karaya.
Yajna ke phal se ek divya kheer mili,
jo unhone apni patniyon Kaushalya, Kaikeyi, aur Sumitra ko di.


Phir samay aaya:
Chaitra Shukla Navami, Abhijit Muhurat me
Bhagwan Ram ka janm hua!


Tulsi Das ji likhte hain:
Hari anant hari katha ananta, kahahi sunahi bahuvidhi sab santa.


(Ram janm samay Ayodhya me anand chha gaya, devataon ne ful barsaye.)
🥰61
Balakand - 1

Ram aur Bhaiyon ka Bachpan aur Leelaen


Ram, Bharat, Lakshman aur Shatrughna bade prem se palte hain.


Guru Vasishtha unhe shastra aur vidya sikhate hain.


Ram ji sabse vinamra aur maryadit hote hain.

Phir Vishwamitra Rishi Dasharath ke darbaar me aate hain aur kehte hain:
Mujhe Ram aur Lakshman do taaki wo mere yajna ki raksha kar sakein.


Dasharath ji pehle mana karte hain, par Vasishtha ke kehne par Ram-Lakshman Vishwamitra ke saath jaate hain.
3
Afghanistan Pakistan clash= terr@r entry i hope now you'll understand
👍92
REAL - MALIKA
Balakand - 1 Ram aur Bhaiyon ka Bachpan aur Leelaen Ram, Bharat, Lakshman aur Shatrughna bade prem se palte hain. Guru Vasishtha unhe shastra aur vidya sikhate hain. Ram ji sabse vinamra aur maryadit hote hain. Phir Vishwamitra Rishi Dasharath ke darbaar…
Balakand - 1

Rakshas Vadh aur Siddhi

Ram aur Lakshman ne Tatak, Marich aur Subahu ko maara.


Vishwamitra ne unhe Divya Astra (weapons) diye.

Unhone Ahalya ko shraap se mukti dilayi.
Ahalya udari Ram prabhu, kari krip ati bhari.


Yani Ram ji ne apni kripa se Ahalya ko pavitra kar diya
4🥰1
REAL - MALIKA
Balakand - 1 Rakshas Vadh aur Siddhi Ram aur Lakshman ne Tatak, Marich aur Subahu ko maara. Vishwamitra ne unhe Divya Astra (weapons) diye. Unhone Ahalya ko shraap se mukti dilayi. Ahalya udari Ram prabhu, kari krip ati bhari. Yani Ram ji ne apni kripa…
Balakand - 1

Sita Swayamvar (Janakpur yatra)

Vishwamitra Ram-Lakshman ko Mithila (Janakpur) le jaate hain.

Wahan Raja Janak ke rajya me Sita swayamvar ho raha hota hai.


Shart thi: Jo Shiva dhanush tod dega, wahi Sita ka var hoga.



Most important 👇
Ram ji dhanush utha kar ek pal me tod dete hain.
Sab devtaon aur rishi khush ho jaate hain.



Phir Ram aur Sita ka vivaah hota hai
Janak aur Dasharath dono parivaar milte hain, aur sab taraf anand hi anand hota hai.
6
REAL - MALIKA
Balakand - 1 Sita Swayamvar (Janakpur yatra) Vishwamitra Ram-Lakshman ko Mithila (Janakpur) le jaate hain. Wahan Raja Janak ke rajya me Sita swayamvar ho raha hota hai. Shart thi: Jo Shiva dhanush tod dega, wahi Sita ka var hoga. Most important 👇 Ram…
Balakand - 1

Parashuram ka dakhal

Shiv dhanush todne par Parashuram ji krodhit hote hain,
par Ram ji unhe vinamrata se shaant kar dete hain.
Tab Parashuram ko samajh aata hai ki


SitaRam ❤️ 👇
Ye Ram koi aam manav nahi, swayam Narayan hain.
3🥰1
Are you all understanding or not, I am not going into much detail so that you all do not get bored.🙏
👍4🥰2