🕌 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥 🕌
1.48K subscribers
2.02K photos
11 videos
86 files
14.5K links
Download Telegram
🌺🌷 *01-04-2020*

☜█❈ *𝐼𝓈𝓁𝒶𝓂𝒾𝒸 𝑀𝓈𝑔 𝒢𝓇𝓅*❈ █☞

☞❦ *Aaj Ki Baat* ❦☜

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

🍃 _*Dil Chhota na Kare'n , Wo Rab Dekh raha Hai, Wo Rab Sun raha Hai , Wo Tumhari Khamoshi me Chhupe Dard Tak Ko Mehsoos Kar raha Hai _"*
*"__ Bas Yaqeen rakho Us Per , Wo Jawab dega aur Zaroor dega ....,Sahab !!"*

*"🍂__ دل چھوٹا نہ کریں، وہ رب دیکھ رہا ہے، وہ رب سن رہا ہے، وہ تمہاری خاموشی میں چھپے درد تک کو محسوس کر رہا ہے،... بس یقین رکھو اس پر وہ جواب دے گا اور ضرور دے گا.... صاحب !!,*

*🍃_ दिल छोटा ना करें, वह रब देख रहा है, वह रब सुन रहा है, वह तुम्हारी खामोशी में छुपे दर्द तक को महसूस कर रहा है... बस यक़ीन रखो उस पर , वह जवाब देगा और जरूर देगा ..., साहब!!*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
https://chat.whatsapp.com/6AEq0opzwQZ1K2wKgl1B9b
*_ Join Islamic WhatsApp Group_,*
❦❦❦❦
http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
⇧⇧ *Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,*

*Telegram_,* https://t.me/IslamicMsgOfficialGroup
🌺🌷 *04-04-2020*

☜█❈ *𝐼𝓈𝓁𝒶𝓂𝒾𝒸 𝑀𝓈𝑔 𝒢𝓇𝓅*❈ █☞

☞❦ *Aaj Ki Baat* ❦☜

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

🍃 _*Jab Log Kisi Ke Sabr Ka imtehan Lete Hai'n k dekhe'n Kaha'n tak Sabr Karte Hai'n _"*
*"__ To Jaan Le'n K Sabr Ki inteha ke baad insaan Ke Akhtyar me Kuchh nahi rehta ..Fir Maamla Allah Ki Adalat me hota hai aur Faisla bhi Allah Ke Akhtyar me..,"*

*"🍂__ جب لوگ کسی کے صبر کا امتحان لیتے ہیں کہ دیکھیں کہاں تک صبر کرتے ہیں .. تو جان لیں کہ صبر کی انتہا کے بعد انسان کے اختیار میں کچھ نہیں ربتا پھر معاملہ اللہ کی عدالت میں ہوتا ہے اور فیصلہ بھی اللہ کے اختیار میں._,*

*🍃_ जब लोग किसी के सब्र का इम्तिहान लेते हैं कि देखें कहां तक सब्र करते हैं .... तो जान लें कि सब्र की इंतेहा के बाद इंसान के अख्तियार में कुछ नहीं रहता फिर मामला अल्लाह की अदालत में होता है और फैसला भी अल्लाह के अख्त्यार में _,"*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
https://chat.whatsapp.com/6AEq0opzwQZ1K2wKgl1B9b
*_ Join Islamic WhatsApp group,*
❦❦❦❦
http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
⇧⇧ *Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,*

*Telegram_,* https://t.me/IslamicMsgOfficialGroup
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜

* Maujooda Halat Per Ek Aham Paigam*

*☆ ★ PART- 02 ★☆*

*_Allah Ka Irshad Hai._*

Sure Yunus|107.,,,,,Aur Agar Allah Tujhe Koi Taklif Pohchade To Koi Usko Dur Karne Vala Nahi Sivaye Khud ke, Aur Agar [Allah] Tujhe Koi Rahat Pohchana Chahe To Koi Uske Fazal Ko Hatane Vala Nahi Hai, Vo Apna Fazal Apne Bando Me se Jis Par Chahe Karde Vo Bada Magfirat Vala Bada Rahmat Vala Hai.

Sure Rum|41,,,Buraaiyan Phel-padi Hai Khushki Aur Tari Me Logo Ke Kartut Se, Is Vajah Se Ki Allah Unke Kuch Aamal Ka Maza Unko Chakhaye, Taaki Vo Log Baaz Aajaye.

Sure Tahrim|8,,,,Aye Imaan Valo Allah Ke Aaghe Sachchi Pakki Tauba Karo, Umeed Hai Ki Tumhare Parvardigar Tumse Tumhare Gunah Dur Karde (yaani Maaf Karde).

Sure Anaam|43,,,, Unhone Aisa Kyu Nahi Kiya Ki Jab Unke Oopar Hamari Taraf Se Sakhti Aayi To Vo Hamare Saamne Ajizi Se Jhuk Padte? Magar Ye Kaise Mumkin Tha Unke Dil To Sakht Ho Chuke Hai, Aur Shaitan Ne Unko Mutmayin Kar Diya Hai Ki Jo Kuch Tum Kar Rahe Ho Bahut Thik Kar Rahe Ho.

Sure Anfaal|33,,,Aur Na Allah Un Par Azaab Lane Vala Hai Is Haal Me Ki Vo Istigfar Kar Rahe Ho.

Sure Zumar|54,,,,Aur Tum Apne Rab ki Taraf Ruju Karo Aur Us (Allah) Ke Farmaabardar Ban Jao Isse Pehle Ke Tum Par Azaab Aap Pohche, Phir Tum Logon Ki Madad Nahi Ki Jaayengi.


▍▍ *✧Islamic Group✧*
▍☏+91 -8356807663
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌷 *Hadith of the Day* 🌷

🍁 Hadith: Abu Hurairah Radiyallahu 'anhu reported from Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam in a Hadith Qudsi that Allah Ta'ala says: If I take away two of the dearest things (eyes) of a Muslim, and he remains patient, hoping for a reward, then nothing short of rewarding him with Paradise can please Me. (Tirmidhi: 2401)

📲 *Shared Via Daily Islamic Messages App* - http://bit.ly/2w05i8K
🌷 *Aaj Ki Hadees* 🌷

🍁 Hadees: Huzur ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan ka ek shoba hai. (Ibne Maajah: 58)

📲 *Download Qur'an and Hadith Android App* - bit.ly/2w05i8K
🌺🌷 *05-04-2020*

☜█❈ *𝐼𝓈𝓁𝒶𝓂𝒾𝒸 𝑀𝓈𝑔 𝒢𝓇𝓅*❈ █☞

☞❦ *Aaj Ki Baat* ❦☜

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

🍃 _*Jab Mushkilo Ka Daur Ho aur Sazisho'n Ka Zor ho aur Tum Bahut Kamzor ho.. Tum Rab SE Rishta Jod Kar ..Uska Daaman Thaam Kar ,Tum uski Rehmat Maang Kar ,Tum Us per mushkil Chhod do _"*
*"_ Jab Zulmato pe Zor ho aur Zindgi be Jod ho aur Tum Per Na Ummeedi Ka Daur ho ,Jab Mushkile Hazaar ho .Koi na Gam khwar ho ..To Rab SE Rishta Jod Kar..Tum Darguzar Karte raho..Tum us Per Mushkil Chhod do _,"*

*"🍂__ جب مشکلوں کا دور ہو اور سازشوں کا زور ہو اور تم بہت کمزور ہو.. تم رب سے رشتہ جوڑ کر..اور اس کا دامن تھام کر تم اس کی رحمت مانگ کر ،تم اس پہ مشکل چهوڑدو_,*
*"_جب ظلمتوں پہ زور ہو اور زندگی بے جوڑ ہو اور تم پر ناامیدی کا دور ہو، جب مشکلیں ہزار ہوں. . کوئی نہ غم خوار ہو، ... تو رب سے رشتہ جوڑ کر...تم درگزر کرتے رہو،. . .تم اس پر مشکل چهوڑدو _,,*

*🍃_ जब मुश्किलों का दौर हो और साजिशों का ज़ोर हो और तुम बहुत कमज़ोर हो ..तुम रब से रिश्ता जोड़ कर और उसका दामन थामकर तुम उसकी रहमत मांग कर तुम उस पे मुश्किल छोड़ दो_,*
*"_ जब जुल्मतों पर ज़ोर हो और ज़िंदगी बेजोड़ हो और तुम पर ना उम्मीदी का दौर हो जब मुश्किलें हज़ार हो कोई ना गमख्वार हो... तो रब से रिश्ता जोड़ कर.. तुम दरगुज़र करते रहो ..तुम उस पर मुश्किल छोड़ दो _,"*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
https://chat.whatsapp.com/6AEq0opzwQZ1K2wKgl1B9b
*_Join Islamic WhatsApp Group,*
❦❦❦❦
http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
⇧⇧ *Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,*

*Telegram_,* https://t.me/IslamicMsgOfficialGroup
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜

* Maujooda Halat Per Ek Aham Paigam*

*☆ ★ PART- 03 ★☆*

Kaza va kadra ko duva hi hata sakti hai, umar me izaafa nekiyon ke zariye hota hai. (Tirmizi)

Hazrat abu darda rd se rivayat hai ki Huzurﷺ ne farmaya be-shak Allah farmate hai me Allah hu mere siva koi mabud nahi, me badshaho ka malik hu, badshaho ka badshah hu, badshaho ke dil mere haath me hai, bande jab meri itaat karte hai to badshaho ke dil un par rahmat aur meherbani ke liye pher deta hu, aur jab meri na-farmani karte hai to badshaho ke dil un par ghussa aur badle ke liye pher deta hu, jisse vo unko sakht azaab aur taklife pohchane lagte hai, isliye tum badshaho ke liye bad-duva me mashgul hone ke bajaaye mere zikr ki taraf mutavajje ho, aur meri taraf ajizi aur roya karo, taaki me unki taklifo se tumhe mehfuz rakhu.

hadiso se do baate saamne aati hai ek baat ye ki kaynat ka paida karne vala hee sab ka parvardigar hai, usi ki kudrat me sab kuch hai, duniya me jo bhi vakiyat aur halat pesh aate hai vo sab uske faisle aur iraade se hote hai, vo badshah-o ka aaka aur badshah-o ka badshah hai, tamam badshah-o ke dil us ke kabje me hai, jis taraf chahta hai unhe pher deta hai.
Iska matlab hai ki jab mere bande meri itaat karte hai to me in hukmran-o ka dil unke hak me rahmat aur shafakkat se bhar deta hu, aur jab mere bande meri na-farmani karte hai, mere hukam ki khilaf-varzi karte hai to me unke badshah-o ke dil me unke khilaf ghussa aur nafrat bhar deta hu, phir vo unhe mere azaab ka maza chakhate hai.


▍▍ *✧Islamic Group✧*
▍☏+91 -8356807663
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌷 *Hadith of the Day* 🌷

🍁 Hadith: Abu Sa'id Radiyallahu 'anhu narrates that Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam, while entering his Masjid saw some persons laughing in a manner that their teeth were visible. He said: Behold! If you frequently remember the destroyer of pleasures, that is, death, it will distract you from what I am seeing (your excessive laughing). So remember frequently the destroyer of pleasures, that is, death. For verily, not a day passes upon the grave but that it cries out saying: I am the house of exile; and I am the house of loneliness; and I am the house of dust; and I am the house of worms. When a believing slave of Allah is buried, the grave says to him: You are most welcome! Indeed, you were the most beloved to me of all those who used to walk upon me. So now, when you have been placed in my charge and you have been brought to me, you will see my excellent treatment. Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam then said: So thegrave expands for. him as far as the eye can see; and a door of Paradise is opened for him. And when an immoral slave of Allah or an unbeliever is buried; the grave says to him: You are most unwelcome! Indeed you were the most despised by me of all those who used to walk upon me. So today, as you have been placed in my charge, and you have been brought to me, you will soon see my treatment towards you. Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam said: The grave then closes on him until its one side meets the other, and his ribs get intermingled; Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam then (illustrating) placed the fingers (of one hand) between the fingers (of the other hand). He added: Allah sends upon him seventy serpents; if one of them were to breathe upon the earth, it would not produce any crops as long as the world remained; they will go on biting and lacerating him until he is brought forth for his Account on the Day of Resurrection. Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam said: The grave is either a garden from among the gardens of Paradise or a pit from among the pits of Hell. (Tirmidhi: 2460)

📲 *Shared Via Daily Islamic Messages App* - http://bit.ly/2w05i8K
🌷 *Aaj Ki Hadees* 🌷

🍁 Hadees: Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Chor Imaan ki haalat mein chori nahin karta (Yaani chori ke waqt chor ka imaan nikal jaata hai, phir baad mein Imaan laut aata hai). (Abu Dawud: 4689)

📲 *Download Qur'an and Hadith Android App* - bit.ly/2w05i8K
🌺🌷 *06-04-2020*

☜█❈ *𝐼𝓈𝓁𝒶𝓂𝒾𝒸 𝑀𝓈𝑔 𝒢𝓇𝓅*❈ █☞

☞❦ *Aaj Ki Baat* ❦☜

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

🍃 _*"Dua Ki Qubuliyat Awaaz Ki Bulandi nahi Balki Dil Ki Tadap Ka Taqaza Karti Hai _,*
*"_ Kyunki Dua Sirf Alfaz Ka Majmu'a Nahi ,Rooh Ki Talab aur Kaifiyat Ka Naam Hai _"*

*🍃_,دعا کی قبولیت آواز کی بلندی نہیں بلکہ دل کی تڑپ کا تقاضا کرتی ہے ، ، ، کیونکہ دعا صرف الفاظ کا مجموعہ نہیں ، روح کی طلب اور کیفیت کا نام ہے _"*

*🍃_ दुआ की क़ुबूलियत आवाज़ की बुलंदी नहीं बल्कि दिल की तड़प का तकाज़ा करती है.. क्योंकि दुआ सिर्फ अल्फाज़ का मजमुआ नहीं, रूह की तलब और कैफियत का नाम है _,*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
https://chat.whatsapp.com/6AEq0opzwQZ1K2wKgl1B9b
*_ Join Islamic WhatsApp Group,*
❦❦❦❦
http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
⇧⇧ *Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,*

*Telegram_,* https://t.me/IslamicMsgOfficialGroup
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜

* Maujooda Halat Per Ek Aham Paigam*

*☆ ★ PART- 04 ★☆*

*Khulasa*

kya ye hakikat nahi hai ki aaj islam hamare muashare me ajnabi bana huva hai usse zindagi ke tamam maidano se alag kar diya gaya hai, saal me do martaba eido ke mauke par masjid jana hi islam hai aur kuch taufik huvi to hafte me juma ke din bhi agaye, aur bas phir puri zindagi azad hai jaise chahe rahe, jis tarah chahe kamaye, jaha chahe kharch kare, halaki zindagi ke har har mauke par islam insan ki puri puri rehnumayi karta hai usse raasta batata hai, kaynat ke paida karne vale ke hukmo aur is ke Rasulﷺ ke raaste par chalkar duniya me kamyabi aata karta hai aur aakhirat ki bhi sadat se navazta hai, lekin bahut bedardi ke saath in sab maidan-o se islam ko alagh rakha jaa raha hai, aur had ye hai ki islam ke paach buniyadi arkaan jin par islam ki buniyad khadi hai unse bhi gaflat barti jaa-rahi hai, deen ka sabse aham fariza namaz ka jo haal hai vo hamare saamne hai, kitne percent log paanch vakt ki namaze padhne vale hai? zakat kitne log adaa karte hai? Ramzan ke mukaddas aur barkat vale mahine ka ehteram karte hai? kya roza sabhi log rakhte hai? aur haj ka bhi yahi haal hai, ye sab hai aur fir dusri taraf dekhiye kitne log hai jo in halat ko dekhkar bechain-ni mehsus karne lagte aur bhalaai ka hukam dene aur buraayi se rokne ke liye ooth-khade hote ho kitne log hai jo in halat me buraiyo ko rokne ki jimmedari adaa kar rahe hai?


▍▍ *✧Islamic Group✧*
▍☏+91 -8356807663
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌷 *Hadith of the Day* 🌷

🍁 Hadith: 'Abdullah ibn 'Amr Radiyallahu 'anhuma narrates: I heard Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam saying: He who has two habits will be reckoned by Allah as amongst the grateful and the patient. And if he does not possess these two habits, he will not be reckoned by Allah as amongst the grateful and patient; He who sees his superior in Islam and follows him, and sees one inferior in worldly things and then expresses his thanks to Allah, that out of His Mercy and Grace Allah has kept him in a better state. Then Allah reckons him amongst the grateful and patient. And he who looks to his inferiors concerning religion, and looks to one superior in worldly riches, and expresses sorrow for getting less, then Allah will not record him as amongst the grateful and patient. (Tirmidi: 2512)

📲 *Shared Via Daily Islamic Messages App* - http://bit.ly/2w05i8K
🌷 *Aaj Ki Hadees* 🌷

🍁 Hadees: Hazrat Abdullah Bin Umar (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne ilm Allah Ta'ala ki raza ke alawa kisi aur maqsad (masalan izzat, shauhrat, maal waghaira hasil karne) keliye sikha to woh apna thikana Jahannum mein banale. (Tirmizi: 2655)

📲 *Download Qur'an and Hadith Android App* - http://bit.ly/2w05i8K
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜

* Maujooda Halat Per Ek Aham Paigam*

*☆ ★ PART- 05 ★☆*

*Maujuda Halat Me Karne Ke Kuch Kaam-1*

Maujuda halat ka pakka aur mazbut hal bas yahi kaam hai, gunaho se bacha jaye, Allah ki farma-bardari zindagi ke har shobe me ki jaye, apni jin bad-amaliyo aur bure kartut-to ke sabab ye muskile paida hui hai unse bacha jaye aur apne zabardast Allah khalik e kaynat se duva ki jaye, uske faisle ke bagair kuch nahi ho sakta, na dushman apni sazisho me kamyab ho sakta hai aur isse duvaye kar ke sakht halat, afato aur muskilo se najat hasil ki jaye.

Hasil ye ki in halat ke zahiri asbaab me jiyada sar khapane ke bajaye is sar-chashma par nazar jamali jaaye jaha se in halat ke paida kiye jaane ke faisle hote hai. Beshak nazuk halat me sachchi tauba aur istigfar ke alava niche aane vale aamal bhi musibato aur muskilo ko dur karne me bahut asar rakhte hai beshaq Allah hi haalat ko palatne vale hai.

(1) Hukuk ul ibaad ke ada karne ka khususi aehtimam kiya jaye, kisi ka jaani ya maali haq Agar jimme me baaki ho to usse jaldi adaa kar ke farig hone ki fikr ki jaye.


▍▍ *✧Islamic Group✧*
▍☏+91 -8356807663
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌷 *Hadith of the Day* 🌷

🍁 Hadith: 'Abdullah ibne 'Amr ibnil 'As Radiyallahu 'anhuma narrates: I heard Rasulullah ﷺ saying: Indeed Allah will summon a man from my Ummah in the presence of the entire creation on the Day of Resurrection and ninety-nine scrolls (of evil deeds) will be unrolled in front of him, while each scroll (length) being as far as the eye can see. He (Allah) will ask: Do you deny anything (written) here? Have My scribes done any injustice to you? He will say: No, my Rabb. Allah will say: Have you got any excuse for it? He will reply: No, my Rabb. Allah will say: We have with us a good deed of yours, and verily, today no injustice will be done to you. Then a piece of paper will be brought forth written therein will be these words:

I bear witness that there is none worthy of worship except Allah, and I bear witness that Muhammad is His slave and Messenger.

✺ Then Allah will say: Go and have it weighed. He will say: O my Rabb, what is (the weight of) this paper as compared to all of these scrolls? Allah will say: Indeed there will be no injustice to you. The scrolls will then be placed in one pan (of the scale) and the piece of paper in the other pan. Thereupon, compared to the weight of the piece of paper, the pan of scrolls will begin to fly. And nothing can outweigh the name of Allah. (Tirmidhi: 2639)

📲 *Shared Via Daily Islamic Messages App* - http://bit.ly/2w05i8K
🌷 *Aaj Ki Hadees* 🌷

🍁 Hadees: Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Shakhs apna kapda fakhr ke taur par ghaseet kar chalega, to Qayaamat ke din Allah Ta'ala us ki taraf (rahmat ki) nazar nahin farmaayeinge. (Bukhari: 3665)

📲 *Download Qur'an and Hadith Android App* - bit.ly/2w05i8K
🌺🌷 *07-04-2020*

☜█❈ *𝐼𝓈𝓁𝒶𝓂𝒾𝒸 𝑀𝓈𝑔 𝒢𝓇𝓅*❈ █☞

☞❦ *Aaj Ki Baat* ❦☜

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

🍃 _*Insaani Tareekh me Aane Wala Ye Bhayanak Tajurba Kya Meri Zindgi, Meri Niyat ,Mere Kirdaar me Koi Tabdeeli Le Kar Aaya hai ? _"*
*"__ Ek Baar Zaroor Sochiye , Sahab !!*

*"🍂__انسانی تاریخ میں آنے والا یہ بھیانک تجربہ کیا میری زندگی، میری نیت، میرے کردار میں کوئی تبدیلی لے کر آیا ہے؟*
*"_ ایک بار ضرور سوچئے, صاحب !!_,*

*🍃_इंसानी तारीख में आने वाला यह भयानक तजुर्बा क्या मेरी जिंदगी ,मेरी नियत ,मेरे किरदार में कोई तब्दीली लेकर आया है ?*
*"__ एक बार जरूर सोचिए साहब !!_*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
https://bit.ly/2w05i8K
*_Download App_,*
❦❦❦❦
http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
⇧⇧ *Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,*

*Telegram_,* https://t.me/IslamicMsgOfficialGroup
🌺🌷 *08-04-2020*

☜█❈ *𝐼𝓈𝓁𝒶𝓂𝒾𝒸 𝑀𝓈𝑔 𝒢𝓇𝓅*❈ █☞

☞❦ *Aaj Ki Baat* ❦☜

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

🍃 _*Afsos ... insaani Aankhe'n hi Kuchh is Tarah Ki ho gayi Hai'n k wo Saamne Wale me Achcha'i dekhne Ke bavjood bhi Use Pase Pusht daal Kar Buraa'i Ki Talash me rehte Hai'n !! _"*

*"🍂__افسوس ....انسانی آنکھیں ہی کچھ اس طرح کی ہو گئی ہیں کہ وه سامنے والے میں اچھائی دیکھنے کے باوجود بھی اسے پس پشت ڈال کر برائی کی تلاش میں رہتے ہیں ! !_ _,*

*🍃_ अफसोस... इंसानी आंखें ही कुछ इस तरह की हो गई है कि वह सामने वाले में अच्छाई देखने के बावजूद भी उसे पसे पुश्त डालकर बुराई की तलाश में रहते हैं !!*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
https://chat.whatsapp.com/BUDCL7bniIS2S4ckvB1RPr
*_Join Islamic Whatsapp Group_,*
❦❦❦❦
http://IslamicMsgOfficial.blogspot.com
⇧⇧ *Aaj Ki Baat Ke Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,*

*Telegram_,* https://t.me/IslamicMsgOfficialGroup
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜

* Maujooda Halat Per Ek Aham Paigam*

*☆ ★ PART- 06 ★☆*

*Maujuda Halat Me Karne Ke Kuch Kaam-2*

(2) Farz namaz-o ka ehtimam aur nafil namaz-o ki ziyadati, hadis me aata hai nabi ko jab bhi koi muskil pesh aati to quran namaz ki taraf mutavajje ho jate, Huzurﷺ to hava ke tez ho jane par bhi Allah ke azaab se dar jate, aur namaz padhkar Allah ke saamne gid-gidate ki kahi ye hava aandhi ban kar azaab ki shakal na ikhtiyar karle, quran me namaz ke zariye madad hasil karne ka hukam diya gaya hai,

Allah ka irshad hai: (Sure bakra153) Ae imaan valo sabar aur namaz se madad hasil karo, lekin maujuda daur ke muslaman ko sakht halat aur muskilo me namaz ka khyal bhi aata.

(3) Musibato aur muskilo ko dur karne me sadka karna bhi bahut kargar hai, sadka va khairat karne se bhi bhalaiya dur hoti hai, Huzurﷺ ka irshad hai be-shak sadka balaao ko dur karta hai, isliye musalmano ko iski pabandi karni chahiye ki khatarnak halat me khas taur par paabandi se zakat adaa karne ke alava nafli sadka aur khairat bhi karte rahe garibo aur mohtaj-o ki madad kare, beva-o yatim-o ka sahara bane, kherat karna jaha tak ho sake chup kar kare, razdari aur chup kar sadka karna Allah ke yaha ziyada makbul hai jaisa ki ayat-o aur hadis-o se malum hota hai.


▍▍ *✧Islamic Group✧*
▍☏+91 -8356807663
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Mubarak Raaton ko Kaise Guzare'n ,*

*1:-  Tauba V istigfaar Kare,*

*2:- Qaza Namazo Kï Adaygi Kare,*

*3:- Salaatut Tasbeeh Kï Namaz Padhe,*

*4:- Zikr V Quran Kareem Ki Tilawat Kare,*

*5: - Qayamul Layl ( Tahajjud ki Namaz ) Ka Ahatmam,*
🌷 *Hadith of the Day* 🌷

🍁 Hadith: Nabi Muhammad ﷺ said: The heart in which there is no portion of the Qur'an is like a desert house. (Tirmidhi: 2913)

✺ Note: One should therefore make an effort to memorise the Qur'an. The least one can do is to memorise as much as is sufficient to perform salaah properly.

📲 *Shared Via Daily Islamic Messages App* - bit.ly/2w05i8K