Forwarded from AIMIM Official
AIMIM Charminar MLA Janab Mir Zulfeqar Ali ne Darussalam mein CMRF Scheme ke tahet behtar ilaaj ke liye Mustafa Nagar, Hyderabad ki rehne wali Jabeen Begum C/o Syed Zaker Ali ko ₹50,000 ka LOC faraham kiya.
#AIMIM #mirzulfiqarali #CMRF #Darussalam #hyderabad
#AIMIM #mirzulfiqarali #CMRF #Darussalam #hyderabad
Forwarded from AIMIM Official
AIMIM MLC Mirza Rahmath Baig Quadri Sahab ne Darussalam, Hyderabad mein CMRF Scheme ke tahet behtar ilaaj ke liye 06 Beneficiaries ko LOC (Total amount ₹12,75,000) faraham kiya.
Is mauqe par AIMIM Mallepally Ex-Corporator Janab Zafar Khan bhi maujood the.
#AIMIM #mirzarahmatbaig #CMRF #Darussalam #hyderabad
Is mauqe par AIMIM Mallepally Ex-Corporator Janab Zafar Khan bhi maujood the.
#AIMIM #mirzarahmatbaig #CMRF #Darussalam #hyderabad
Forwarded from AIMIM Official
Awaam ke masaail ko sunna aur unke hal ke liye har mumkin koshish karna hamara farz hai | Barrister Asaduddin Owaisi
#AIMIM #AsaduddinOwaisi #Darussalam #owaisi #hyderabad
#AIMIM #AsaduddinOwaisi #Darussalam #owaisi #hyderabad
Forwarded from AIMIM Official
YouTube
Yakutpura mein ₹2.56 crore ki laagat se mukhtalif taraqqiati kaamo'n ka iftetaah | Hyderabad | AIMIM
Halqa-e-Parlimaani Hyderabad ke Rein Bazar aur Pathergatti (Yakutpura) mein Sadr-e-Majlis Barrister Asaduddin Owaisi Sahab ke haatho'n mukhtalif taraqqiaati kaamo'n ka iftetaah amal mein aaya.
Is mauqe par AIMIM MLA Janab Jaffar Hussain Meraj Sahab ne media…
Is mauqe par AIMIM MLA Janab Jaffar Hussain Meraj Sahab ne media…
Forwarded from AIMIM Official
AIMIM के राष्ट्रीय प्रवक्ता वारिस पठान साहब ने पार्टी कॉरपोरेटर्स के साथ बांद्रा के गरीब नगर डिमोलिशन साइट का दौरा किया और प्रभावित परिवारों से मुलाकात की।
पिछले कई दिनों से गरीब नगर, बांद्रा में डिमोलिशन ड्राइव चल रही है। करीब 400 गरीब परिवारों के घर बुलडोजर से तोड़ दिए गए हैं, जिनमें हिंदू और मुस्लिम दोनों समुदाय के लोग शामिल हैं। महिलाएं, बुज़ुर्ग और बच्चे खुले आसमान के नीचे रहने को मजबूर हैं। उन्हें खाने-पीने, साफ पानी, टॉयलेट और बाथरूम जैसी बुनियादी सुविधाओं की भारी परेशानी का सामना करना पड़ रहा है।
AIMIM पार्टी सरकार से मांग करती है कि सभी प्रभावित परिवारों के रहने की जल्द से जल्द उचित व्यवस्था की जाए और उन्हें सभी बुनियादी सुविधाएं तुरंत उपलब्ध कराई जाएं।
#AIMIM #WarisPathan #bandra #BulldozerAction #mumbai

AIMIM ki jaanib se Eid-ul-Adha ke mauqe par 29 May 2026 (Jumma) ko Party Headquarters Darussalam, Hyderabad mein 'Eid Milap' taqreeb munaqqid hoga.
#AIMIM #AhmedBinAbdullahBalala #eidmilap #Darussalam #hyderabad
#AIMIM #AhmedBinAbdullahBalala #eidmilap #Darussalam #hyderabad
Forwarded from AIMIM Official
AIMIM Floor Leader Janab Akbaruddin Owaisi sahab ki lagataar mehnat aur koshisho'n ke natije mein Chandrayangutta Assembly ke hazaaro'n gareeb aur mustahiq khandano'n ko naye Food Security Cards ki manzoori mil gayi hai.
Civil Supplies Department, Telangana ki taraf se jaari official report ke mutabiq Chandrayangutta Assembly mein naye Food Security Cards ke liye kul 38,604 applications receive hui hain, jin mein se 33,558 cards sanction kar diye gaye hain. Jabke 3,534 applications mukhtalif wajuhaat ki bina par reject hui hain aur 1,512 applications abhi pending hain. InshaAllah! pending applications bhi jald manzoor kar liye jaayenge.
#AIMIM #AkbaruddinOwaisi #foodsecuritycards #Chandrayangutta #hyderabad

AIMIM Yakutpura MLA Janab Jaffar Hussain Meraj Sahab ki lagataar mehnat aur koshisho'n ke natije mein Yakutpura Assembly ke hazaaro'n gareeb aur mustahiq khandano'n ko naye Food Security Cards ki manzoori mil gayi hai.
Civil Supplies Department, Telangana ki taraf se jaari official report ke mutabiq Yakutpura Assembly mein New Food Security Cards ke liye total 7,498 applications receive hui, jin mein se 6,170 applications ko sanction kar diya gaya. Wahi 856 applications mukhtalif wajuhaat ki bina par reject hui hain, jabke 472 applications abhi pending hain. InshaAllah! pending applications bhi jald manzoor kar liye jaayenge.
#AIMIM #JaffarHussainMeraj #foodsecuritycards #Yakutpura #hyderabad

AIMIM Charminar MLA Janab Mir Zulfeqar Ali Sahab ki lagataar mehnat aur koshisho'n ke natije mein Charminar Assembly ke hazaaro'n gareeb aur mustahiq khandano'n ko naye Food Security Cards ki manzoori mil gayi hai.
Civil Supplies Department, Telangana ki taraf se jaari official report ke mutabiq Charminar Assembly mein New Food Security Cards ke liye total 11,096 applications receive hui, jin mein se 9,116 applications ko sanction kar diya gaya. Wahi 1,324 applications mukhtalif wajuhaat ki bina par reject hui hain, jabke 656 applications abhi pending hain. InshaAllah! pending applications bhi jald manzoor kar liye jaayenge.
#AIMIM #mirzulfiqarali #foodsecuritycards #charminar #hyderabad