Aimim Fans Group
294 subscribers
15.9K photos
7.31K videos
61 files
2.07K links
Daily Updates Of Aimim..
Download Telegram
Forwarded from AIMIM Official
Hyderabad: Siyaasi, Samaaji aur Taleemi maidaanon mein apni be-misaal khidmaat anjaam dene waale Salar-e-Millat Alhaj Sultan Salahuddin Owaisi (RA) ki 18vi Barsi ke mauqe par Sadr-e-Majlis Barrister Asaduddin Owaisi aur Janab Burhan Uddin Owaisi Sahab ne Majlisi Arakeen-e-Assembly, MLCs aur digar kaarkunaan ke sath Dargah Agha Dawood, Aghapura mein Marhoom ki mazaar par haaziri di aur unhe khiraj-e-aqeedat pesh kiya.
Salar-e-Millat Alhaj Sultan Salahuddin Owaisi (RA) ki zindagi awaam ki khidmat, rehnumai aur taleemi taraqqi ke liye waqf rahi. Unhon ne hamesha insaaf, barabari aur ittehaad ka paighaam diya. Allah Ta'ala unhein jannat-ul-firdous mein aala se aala muqaam ata farmaye. Aameen

#aimim #sultansalahuddinowaisi #asaduddinowaisi #barsi #hyderabad
Forwarded from AIMIM Official
Salar-e-Millat Alhaj Sultan Salahuddin Owaisi (RA) ki siyasi, samaaji aur taleemi khidmaat ko hamesha yaad rakha jayega.

#aimim #sultansalahuddinowaisi #asaduddinowaisi #barsi #hyderabad
Forwarded from AIMIM Official
SIR ke silsile mein awaam ki sahulat ke liye AIMIM ki janib se Darussalam, Hyderabad mein helpline numbers aur Help Desk ka aaghaz kiya gaya hai. Awaam se guzarish hai ke is sahulat se bharpoor faida uthayein. Barrister Asaduddin Owaisi

#AIMIM #AsaduddinOwaisi #sir #specialintensiverevision #Darussalam #SIRHelpDesk #Helpdesk #Owaisi #appeal #appealvideo #hyderabad #Telangana
Forwarded from AIMIM Official
Eid के दिन 'खून की होली' खेलने की धमकी दी जा रही है। क्या भारत का मुसलमान खुशी से अपनी ईद भी नहीं मना सकता? : Barrister Asaduddin Owaisi

#asaduddinowaisi #eid #vishwaguru #eidcelebration #owaisi #uttamnagar #delhihighcourt #hyderabad #india